People suffering with literature allergy should better close their senses
nazar ki baat ko dil mein utar lete hain
juhki aankhon ka yeh dhoka hum ek pal mein jaan lete hai
tumhe laga ki pa gaye hum us afsaane ko
na karo aisa mazaak aur dard do deewane ko
tamanna aur tamanna mein farq hota hai
ek laati hai dil mein kashish, doosri ko dekh kar chehra surkh hota hai
bas aaj itna hi kahunga tumhe mere dost sun lo
umr jaa rahi hai chhod kar jawaani ko, ishq kar lo
shayari hai nahi bani ishq paane walo k liye
yeh to cheez hai bachi kuchi lut jaane walon k liye
ishq ki kurchan jab itna nasha karti hai
kya hoga anzaam iska ishq karne walon k liye
No comments:
Post a Comment